Saturday, December 7, 2013

Maya

Kabhi paapiyo sang paap kamaya,
Kabhi jogiyo sang jog ramaya,
Kabhi akele khud ko dhoonda,
Kabhi bheed mein tujhko paaya,
Kabhi gusse mein tujhko kosa,
Kabhi dard mein tujhe bulaya,
Kabhi dhoop mein tere dar pe dhoondta hua mein chhaya,
Kabhi main tujhme, kabhi tu mujhme, meri kaya, teri maya.

Ravi Khurana

No comments: