Tuesday, August 30, 2011

Socho kya hota?


Abhi toh door hoon, paas hota to socho kya hota?
Abhi toh khawab hoon, ehsas hota toh socho kya hota?
Teri khushboo se dhoond leta hoon tujhe....
Tu North Pole, main Compass hota, toh socho kya hota?

Abhi toh kaala hoon, safed hota to socho kya hota?
Abhi toh kissa hoon, chhupa koi bhed hota toh socho kya hota?
Abhi toh 'in progress' hoon, 'Rukawat k liye khed' hota toh socho kya hota?

Abhi toh Ram hoon, Raavan hota toh socho kya hota?
Abhi toh patjhad hoon, Saavan hota toh socho kya hota?
Abhi toh jabardasti hoon teri zindagi mein shaamil, Man-Bhavan hota toh socho kya hota?



© Ravi Khurana




Saturday, August 27, 2011

Anna

Is jeet ka pulinda humne apne haathon se bnaya hai,
Murdo ko zinda humne apne hathon se bnaya hai...

Pehle kuch karne ka jazba mann mein tha,
Aaj is mann mein khushi k aansoo hain...

Delhi bole Anna mahan hai tu,
Mumbai bole Anna tu dhaasu hai...

mujhme, tujhme, sab mein ahinsa ki jo taakat tune di , uska shukriya,
Main bhi Anna, tu Bhi anna, ki kahawat jo tune di, uska shukriya...

Bas is jazbe ko bar-qarar rakhna,
Jab bhi corruption krne lago, bas Anna ko yaad rakhna...

Jai Hind!

Copyright- Ravi Khurana

Saturday, August 6, 2011

Purana saamaan


Humne wo purani lakdi ki almari aakhir aaj fir se khol hi di...
Puraane daraaj mein kuch adhoore sapne padhe mile...
Kuch kasmein padhi mili, kuch waade padhe mile..

Deemak lag gyi thi unko...
Socha nikaal k dekhu..
Shayad aaj bhi koi sapna zinda ho..

Bohot dhoonda, bohot chhanta... lekin kuch hath nhi lga...
Socha k kyu na inhe baahar nikaal k safai kr du..
Kyu na zindgi mein kuch nye rang hi bhar du..

Uthaya bhi, lekin fir hath na jaane kyu ruk se gye...
Teri ek adhoori tasveer pe nazar padhi..
Dulhan k libaaz mein, usi maasoom muskurahat k sath..
Shayad ye tasveer maine un khwabo mein banayi thi..

Ek kasam utha k dekhi toh chubh si gyi..
Dard hua, khoon bhi baha...
Kehti thi ke tumhara sath nhi chhodungi..

Ab toh maine bhi in kasmo ko dekhna, uthana, aur fir sambhal k rakhna seekh liya hai...
Chutti ka din tha, socha us pal ko bhi yaad kr lu, jab main zinda tha...



© Ravi Khurana

Friday, August 5, 2011

Sapna

Dhundli si aankho se unhe kuch churaate dekha tha...
Aaye, muskuraaye aur Dil utha k chal diye...

Subah ka sapna tha, kahin sach na ho jaaye...

© Ravi Khurana