Kuch lafz aise, jo kabhi keh nhi paaye the,
Kehte kehte ruke, ruk ke bhi reh nhi paaye the.
Kalam uthaya jo likhne, ki kitna pyaar hai tumse,
Chhalak uthe wo aansu, jo pehle beh nhi paaye the.
Socha bauht tha ki bhoolenge tumhe,
Aur bhula denge tumhari sabhi yaadein
Lekin... jab jab sar jhuka us maalik k saamne,
Maangi...bas tumse milne ki fariyaadein
Dard is baat ka hai, ke tumse juda hoon main..
Waqt ke hatho haara wohi Qaafir hoon, jo sochta tha khuda hoon main
Main Akela hoon, Main Tanha hoon, Main Ruswa hoon ab
Tujhe dekhne ki aas mein zinda hoon shayad, yun toh mar chuka hoon ab
Aisa nhi ke, tu gyi toh, pyaar karne wale nhi aaye.
Haseen toh bohot aaye zindagi mein lekin,
Aankho se izhaar karne wale nhi aaye.
Kuch lafz aise, jo kabhi keh nhi paaye the,
Kehte kehte ruke, ruk ke bhi reh nhi paaye the.
© Ravi Khurana
No comments:
Post a Comment